donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Jaleel Manikpuri
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Touba karne se badalti nahi aadat apni *
Touba karne se badalti nahi aadat apni
Aagayi phir kisi kaafir pe tabiyat apni

Mujhko darkaar woh saaqi hai jo darya dil ho
Ek do jaam se bharti nahi niyyat apni

Har Jagah mujhko woh badnaam kiya karte hain
Chahte hain isi parde mein woh shohrat apni

Hum ni ki husn parasti toh tujhe kya naseh
Aankh apni hai, dil apna hai, tabiyat apni

Hum na kehte teh aasaan nahi ishq "Jaleel"
Aaina le ke zara dekhiye surat apni.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 480