donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Jaleel Manikpuri
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ranggat yeh ruq ki aur yeh aalam naqaab ka *
Ranggat yeh ruq ki aur yeh aalam naqaab ka
Daaman mein koi phool liye hai gulaab ka

Charoan taraf se is pe nighahoan ka baar hai
Mushkil hai in ko ruq se uthana naqaab ka

Taskeen e khaakh dete hain rakh kar jigar pe haath
Pehlu badal rahe hain mere iztaraab ka

Muddat hui wahi hai zamaane ka inquilaab
Naqsha kheencha hua hai mere iztaraab ka

Bachpan kahan tak in ki umangoan ko rokta
Akhir ko rang phoot hi nikla shabaab ka

Rona khushi ka roti hai bul bul bahaar mein
Chirka'o ho raha hai chaman mein gulaab ka

Jhalki dikha ke aur woh bijli gira jaye
Accha kiya ilaaj mere iztaraab ka

Khaak e chaman pe shabnam wa gul ka ajab hai rang
Saagar kisi se chuut pada hai sharaab ka

Khoye hue hain shahid wa mani ki dhun mein hum
Yeh bhi 'Jaleel' ek junoon hai shabaab ka.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 452