* Nadaan teh woh shabaab ne hoshiyaar kardiya *
Nadaan teh woh shabaab ne hoshiyaar kardiya
Fitne ko kwaabe naaz se bedaar kardiya
Nargis ko bhi firaaq mein rona isi ka hai
Aankhon ko intezaar ne beemaar kardiya
Surat toh ibteda se teri la jawaab thi
Naaz w ada ne aur tarah daar kar diya
Jeene ki toh ummeed kahan thi firaaq mein
Marna bhi intezaar ne dushwaar kardiya
Acche tum aaye dekhne apne mareez ko
Aankhein dikha ke aur bhi beemaar kardiya
Buta sa qad hai phool sa ruq ghuncha sa dahan
Jis ghar mein woh gaye ise gulzaar kardiya
Pyara mujhe ho koi gawaara nahin unhein
Yaan tak ke apni jaan se bezaar kardiya
Mushtaq toh kiya tha tere husn ne magar
Parde ne aur taalib e deedaar kardiya
Hum se 'Jaleel' fikr e sukhan khaakh ho sake
gham ne dil w dimaag ko bekaar kardiya
|