donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Jaleel Manikpuri
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Dekha jo husn e yaar tabiyat machal gayi *
Dekha jo husn e yaar tabiyat machal gayi
Aankhon ka tha kusoor churi dil pe chal gayi

Hum tum mile na teh to judaai ka tha malaal
Ab yeh malaal hai ke tamanna nikal gayi

Saaqi teri sharaab jo sheshay mein thi padi
Sagar mein aake aur bhi sanchay mein dhal gayi

Dushman se phir gayi nigaah e yaar shukar hai
Ek phaans thi ke dil se hamaare nikal gayi

Peene se karchuka tha mein touba magar 'Jaleel'
Baadal ka rang dekh ke niyyat badal gayi.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 593