donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Manzar Hussain Akbar
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* madhosh tha najaane maiN keisi sehar meN tha *
Ghazal:

madhosh tha najaane maiN keisi sehar meN tha 
haaN yaad hai ke hosh meN tere asar meN tha 

chalta raha sambhal ke to rasta nahiN mila 
bhatka jo raah se to teri raah-guzar meN tha 

shauq-e-junooN tha dasht meN aaye the ham magar 
waisa hi haal hai yahaN jaisa ke ghar meN tha 

kuchh der ki thi din me bhi taaroN ki aarzu 
jab tak mere naseeb ka suraj kohar meN thaa 

qismat ko keya kahooN ke wohi de gayaa fareb 
jis shakhs ke khloos ka charcha shaher me tha 

Manzar ghame faraagh ko kaisi baqa meli 
aab-e-hayaat keya isi jaame zahar meN thaa 
****

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 330