donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mazhar Imam
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Tuu hai gar mujh se Khafaa Khud se Khafaa huun main bhii *
Tuu hai gar mujh se Khafaa Khud se Khafaa huun main bhii
mujh ko pahachaan ki terii hii adaa huuN main bhii

ek tujh se hii nahiin fasl-e-tamannaa shaadaab
vahii mausam huun vahii aab-o-havaa huun main bhii

sabt huun dast-e-Khaamoshii pe hinaa kii suurat
naashunidaa hii sahii teraa kahaa huun main bhii

chaand ban kar tere aangan men utar hii jaauun
raat ke pichhale pahar maangii duaa huun main bhii

yuun na murjhaa ki mujhe Khud pe bharosaa na rahe
pichhale mausam men tere saath khilaa huun main bhii

jaane kis raah chaluun kaun se rukh mud jaauun
mujh se mat mil ki zamaane kii havaa huun main bhii 


 
Comments


Login

You are Visitor Number : 362