donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mazhar Imam
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* HAMI'N HAI'N WOH JINHE'N BAAM-O-DAR SE RAGHBAT THII, *
HAMI'N HAI'N WOH JINHE'N BAAM-O-DAR SE RAGHBAT THII,
KE DAR BADAR BHI AGAR THE,TO GHAR SE RAGHBAT THII,
HAM APNE HAALE DUGARGO'N KI AB KHABAR KYA DEI'N,
KHABAR YEHI HAI KE IK BE KHABAR SE RAGHBAT THII,
JABEE'N PE KHAAKE NADAMAT SAJAYE PHIRTE HAI'N,
KE RAQSE SHOLA SAROODE SHARAR SE RAGHBAT THII,
SHIKASTA PAA HI NAHI HAM SHIKASTA KHWAAB BHI HAI'N,
KE QAAFLE SE FAZAAE SAFAR SE RAGHBAT THII,
DHULI DHULAYII HUI ZINDAGI KO KYA MALOOM,
KE IK CHAKOR KO DAAGHE QAMAR SE SAGHBAT THII.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 357