naavak kahe.n sina.n kahe.n talvaar kya kahe.n
tu hii bataa tujhe nigah-e-yar kya kahe.n
shikva na daam ka hai na sayyad ka gila
ham aap ho ga.e hai.n giraftar kya kahe.n
izhaar-e-haal-e-zaar ka aiso.n se faaeda
aazaar dil ka tujh se dil-aazaar kya kahe.n
karte hai.n vaa.iz aap mazammat sharab ki
kahte hai.n kya janab ko mai-khwar kya kahe.n
aiso.n se tark-e-mai ka 'mubarak' sawal kya
tauba ki tujh se rind-e-qadah-khwar kya kahe.n
۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸