donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Mubarak Azimabadi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* yaha.n kya hai waha.n kya hai idhar kya hai udhar kya hai *

yaha.n kya hai waha.n kya hai idhar kya hai udhar kya hai

koi samjhe to kya samjhe wo nairang-e-nazar kya hai

na ho jis sar mei.n sauda sarfaroshi ka wo sar kya hai

na phu.nke khirman-e-hasti to wo soz-e-jigar kya hai

tere andaz ke bismil hai.n hum hum se koi puchhe

teri banki ada kya hai teri tirchhi nazar kya hai

jaha.n saman wahshat ke use wahshat-sara kahiye

jaha.n asbab-e-virani wo virana hai ghar kya hai

gae wo aur ye kahte gae o jazb-e-dil wale

mujhe bhi dekhna hai jazba-e-dil ka asar kya hai

۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸


 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 120