donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Natiq Lucknawi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Aap duniyaa bhar se ulfat keejiye *
Aap duniyaa bhar se ulfat keejiye,
mujh ko meraa dil inaayat keejiye,
(ulfat : love, affection; inaayat : return)
zabt se kyaa Khuun-e-hasrat keejiye,
aik naalaa kar ke fursat keejiye,
(zabt : patience; Khuun-e-hasrat : to kill the desire)
zoaf kahtaa hai ke manzil duur hai,
shauq kahtaa hai ke himmat keejiye,
(zoaf : weakness; shauq : desire)
garq hii honaa thaa manzoor-e-Khudaa,
naa-Khudaa kii kyaa shikaayat keejiye,
(garq : drown)
hazrat-e-”Natiq” jahaan tak ho sake,
apne dil meN zabt-e-ulfat keejiye.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 335