* Falak neza zami'n talwar wali *
Falak neza zami'n talwar wali
Mera koii nahi'n sarkar wali
Hai ik ik ghar akela mar chuki hai
Rewayat mushtarak deewar wali
Khushi ik be wafa larhki hai payare
Yeh shai ghar me'n na rakh bazaar wali
Mai'n sab saaman chhorhe jaa raha hoo'n
Ke garhi mil gayee us paar wali
Juda maa'n se raha saye ka bachcha
Kahani keya kahoo'n diwar wali
Saja to li hai sar par "Ashk" dastar
Miya'n woh aabroo? dastar wali
T-4/161, Shahpur Kandi Township,
Near Pathnkot-145029
|