dar tak ab chhoD diya ghar se nikal kar aana
ya wo raato.n ko sada bhes badal kar aana
hamdamo ye koi rona hai ki tufa.n hai aah
dekhiyo chashm se dariya ka ubal kar aana
qasd jab jaane ka karta hu.n mai.n us shokh ke pas
tegh-e-abru ye kahe hai ki sambhal kar aana
hasil us kuche mei.n jaane se hamei.n hai aur kya
ulTe ghar apne magar khaak mei.n ral kar aana
wa.n se awwal dil-e-be-tab tu kab aata hai
aur aana bhi to sau ja pe machal kar aana
hamdamo meri sifarish ko to jate ho wale
kahi.n wa.n ja ke na kuchh aur khalal kar aana
Dube yu.n bahr-e-mohabbat mei.n ki ab jite-ji
apna dushwar hai upar ko uchhal kar aana
ku-e-qatil mei.n dam-e-naza koi le jao
ja ke us ja hamei.n uqda hai ye hal kar aana
us ka be-wajh nahi.n hai ye chaman se bahar
gul mere samne hatho.n mei.n masal kar aana
bazm-e-KHuban mei.n agarche koi parchae hazar
par tere paas hamei.n wa.n se bhi Tal kar aana
ji chala tan se mere jald ze-rah-e-ashfaq
ghar se do chaar qadam aise mei.n chal kar aana
'jurat' us ki kahu.n kya tujh se tarah-dari mai.n
jaana jab uTh ke tab ek rup badal kar aana
****************