raat jab tak mere pahlu mei.n wo dildar na tha
dil ko mujh se mujhe kuchh dil se sarokar na tha
gird us kuche ke kis din ye gunahgar na tha
wae hasrat ki koi rakhna ba-diwar na tha
kal to bimar ko tha tere na bistar pe qarar
aaj bistar tha faqat aur wo bimar na tha
shukr ai baad-e-fana ju.n shajar-e-sokhta mai.n
tha to gulshan mei.n wale qabil-e-gulzar na tha
nahi.n til dharne ki jagah jo ba-afzuni-e-husn
dekha shab us ko to ek khaal ba-rukhsar na tha
raat kya baat thi batla tere sadqe jau.n
aahe.n bharna wo tera khaali-az-asrar na tha
dil ko dhar nok-e-sina.n par wo ye bola hans ke
hum ne mansur ko dekha ba-sar-e-dar na tha
bahs mei.n chashm-e-tar-o-abr ki kal tha jo sama.n
kabhi is shakl se rone ka bandha tar na tha
zabh hum samne hote hi hue qatil ke
bawajude-ki koi hath mei.n hathiyar na tha
baad murda.n mere tabut pe sab rote the
chashm-e-pur-ab magar ek wo sitamgar na tha
lek kya munh ko chhupata tha jo kahte the ye log
us ko zahir mei.n to marne ka kuchh aazar na tha
taba kah aur ghazal, hai ye 'naziri' ka jawab
rekhta ye jo paDha qabil-e-izhaar na tha
****************