donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Qalandar Bakhsh Jurat
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* kyu.nkar gali mei.n is ki mai.n ai ham-raha.n rahu.n *

kyu.nkar gali mei.n is ki mai.n ai ham-raha.n rahu.n
is aarzu-e-dil pe hai wa.n to na han na hu.n
pata hu.n mai.n jaha.n use hote hai.n wa.n mukhil
haira.n hu.n ab ki raaz-e-dil us se kaha.n kahu.n
bas band kar zaba.n ki sune ai zaba.n-daraaz
kab tak teri zaba.n se koi kam zaba.n-zubu.n
shahr-e-tarab se shakl-e-gunahgar dil mera
aakhir hua ba-dosti-e-dil-bara.n baru.n
zahir hai qatl-e-ashiq-e-muztar ki khuu.n se surkh
hai qasr-e-khana ka tere ai dil-sita.n sutu.n
qail ba-dil hu.n tab amal-e-hub ka mai.n ki jab
us shokh se ba-jadd-o-kad-e-amila.n milu.n
be-yar jab lage mujhe zinda.n se ghar batar
barbaad kyu.nki ishq mei.n phir khandan na du.n
kya KHak aab-dari-e-tegh us se ho ki hai
wo chashm-e-surma-sa jo ba-sang-e-fasan fusun
'jurat' zi-bas hai.n ahl-e-jahan harf-e-na-shunu
daKHil suKHan mai.n kyunki ba-gosh-e-gira.n karu.n

*******************


 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 236