* Chaman kii bahaaron men thaa aashiyaanaa *
Chaman kii bahaaron men thaa aashiyaanaa
na jaane kahaan kho gayaa vo zamaanaa
tumhen bhuulane kii main koshish karuuNgaa
ye vaadaa karo ke na tum yaad aanaa
mujhe mere miTane kaa Gham hai to ye hai
tumhen bevafaa kah rahaa hai zamaanaa
Khudaaraa merii qabr pe tum na aanaa
tumhen dekh kar shaq karegaa zamaanaa
|