donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Raziuddin Razi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* kisi tabeer ki khahish main yeh jeewan gaNwaatay hain *
kisi tabeer ki khahish main yeh jeewan gaNwaatay hain 
agar ik khaab daykha hy to qeemat bhi chukaatay hain 

hamaray is safar ka jaanay ab anjaam kaysa ho 
keh jo bhatky huay hain woh humain rusta batatay hain 

ana, shikway, shikayat ,roothna ,naraz ho jana 
tumhain to yad ho ga hum yeh sab kuch bhool jaatay hain 

humain bhi chaahiay sahib koi khil_at , koi mansab 
mahaz e jang sy hum bhi to bas nakaam aatay hain 

hamaray paaon main rasta nahin bas bay qaraari hy 
agar bhutkain bhi to us ki taraf hi laut jaatay hain 

razi hum ko khushi koi kabhi poori nahin milti 
yeh aankhain bheeg jati hain agar hum muskraaty hain 


razi-ud-din razi
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 535