* roothnay aur manaanay main guzar jaati hy *
roothnay aur manaanay main guzar jaati hy
yeh rafaqat to fasaanay main guzar jaati hy
baat karnay ki tamanna main yahan aatay hain
zindagi baat bananay main guzar jaati hy
kuch to kut_ti hy koi naam raqam kartay huay
aur kuch us ko mitaanay main guzar jaati hy
jis taraf koi bicharrta hay yehi umr e taveel
us taraf laut k jaanay main guzar jaati hy
din main palkon pay kaai khaab sajaatay hain hum
raat tabeer bananay main guzar jaati hy
zindagi bus wohi sa_at to hua karti hay
woh jo kuch pyaas bujhanay main guzar jaati hy
saans laynay ko zaroori hy naya chehra bhi
warna yeh umr puranay main guzar jaati hy
ab kabhi ho bhi agar us sy mulaqat razi
apnay ashkon ko chupaanay main guzar jaati hy
razi ud din razi
|