donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Raziuddin Razi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* kaha bhi tha k manzar to achanak hi badalta hy *
kaha bhi tha k manzar to achanak hi badalta hy 
kaha bhi tha k mosam to achanak hi badalta hy 
bataya tha k pasti ka safar aghaaz ho jaay 
to kitni hi bulandi ho 
ya mansab jaah o hasti ho 
bas ik lamhay main (han bas aik hi lamhay main ) 
sab kuch is tara sy khatm hota hy 
k jaysay aag paani sy 
k jasay koi shehzada 
nikal jaay kahani sy 
........ 
kaha bhi tha k daya ko isi dhaaray main behnay day 
kaha bhi tha k hum jis haal main rehtay hain rehnay day 
bataya tha charaagh aandhi sy bujh jaain 
to aankhon main diay kuch timtimaatay hain 
sitaaray maand parr jaain 
to khud sooraj nikalta hy 
koi munh zor girta hy 
koi gir kar sambhulta hy 
....... 
kaha bhi tha k har manzar ka pusmanzar to hota hy 
agar deewaar ban jaay to us main dur to hota hy 
kaha bhi tha k har mosam k daaman main naay mosam to hotay hain 
jahankuch bhi nahin hota wahan par humto hotay hain 
bataya tha k har aaghaaz ka jis morr par anjaam hota hay 
usi anjaam say ik raasta aagay nikulta hy 
wahin manzar badalta hy 
wahin mosam badalta hy 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 403