donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Seemab Akbarabadi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Chamak jugnuu kii barq-e-amaaN maaluum hotii hai *
Chamak jugnuu kii barq-e-amaaN maaluum hotii hai
qafas meN rah ke qadr-e-aashiyaN maaluum hotii hai

kahaanii merii ruudaad-e-jahaaN maaluum hotii hai
jo suntaa hai usii kii daastaaN maaluum hotii hai

havaa-e-shauq kii quvvat wahaaN le aayii hai mujhko
jahaaN manzil bhii gard-e-kaarvaaN maaluum hotii hai

qafas kii tiiliyoN meN jaane yaa tarkiib rakhii hai
ki har bijlii qariib-e-aashiyaaN maaluum hotii hai

taraqqii par hai roz-afzuuN Khlish dard-e-mohabbat kii
jahaaN mahsuus hotii thii, vahaaN maaluum hotii hai

na kyuuN Seemab mujhko qadar ho viiraani-e-dil kii
yah bunyaad-e-nishaat-e-do-jahaaN maaluum hotii hai
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 389