donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shah Mubarak Abroo
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* dil nii.n pakrhi hai yaar ki soorat *

dil nii.n pakrhi hai yaar ki soorat

gul hua hai bahar ki soorat

koi gul-ruu nahi.n tumhara shakl

ham ne dekhi.n hazar ka soorat

tujh gali biich ho gaya hai dil

diida-e-intizar ki soorat

husn ka malak ham nii.n sair kiya

kahi.n dekhi na pyaar ki soorat

ab zamana sabhi tarah bigrha

kya bane rozgar ki soorat

vasl ke biich hijr ja hai bhuul

juu.n nashe me.n khumaar ki soorat

is zamane ki dostī ke ta.ii.n

kuchh nahi.n etibaar ki soorat

kuchh Thaharti nahi.n ki kya hogi

is dil-e-be-qarar ki soorat

mubtazil aur kharab ho kar ke

apni lau.nDe nii.n khvaar ki soorat

'abroo' dekh yaar ka bro-dosh

dil hua hai kanar ki soorat


۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸

 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 212