donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shah Mubarak Abroo
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* hamāre sāñvle kuuñ dekh kar jī meñ jalī jāmun *

hamāre sāñvle kuuñ dekh kar jī meñ jalī jāmun 
lagā phīkā savād us kā nahīñ lagtī bhalī jāmun 
sarāpā aaj namkīnī o narmī o gudāzī suuñ 
huā ye sāñvlā goyā namak meñ kī galī jāmun 
lage hai tursh zāhir meñ pe hai ye sāñvlā mīThā 
māze-dārī meñ hai goyā ye misrī kī Dalī jāmun 
tumhāre rañg kī tamsīl us kuuñ duuñ to khul jaave 
ḳhushī siiñ sāñvarī ho kar ke koyal kī kalī jāmun 
kyā ram sāñvare neñ 'ābrū' kuuñ dekh kar paanī 
lagā barsāt kā mausam dekho yaaro chalī jāmun
huā huuñ dil setī bandā piyā kī mehrbānī kā 
fidā kartā huuñ har dam jī kuuñ apne yār-e-jānī kā 
diye meñ juuñ batī ho yuuñ dahaktī hai zabāñ mukh meñ 
karūñ jis raat ke andar bayāñ soz-e-nihānī kā 
uñjho añkhiyāñ ke roġhan haiñ hamāre shola-e-dil kuuñ 
bujhānā ishq kī ātish nahīñ hai kaam paanī kā 
asar kartā hai naala 'ābrū' kā sañg ke dil meñ 
hunar sīkhā hai shāyad kohkan suuñ tesha-rānī kā 

888888888888888

 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 119