donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shah Mubarak Abroo
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* husn par hai ḳhūb-rūyāñ meñ vafā kī ḳhū nahīñ *

husn par hai ḳhūb-rūyāñ meñ vafā kī ḳhū nahīñ 
phuul haiñ ye sab pa in phūloñ meñ hargiz bū nahīñ 
husn hai ḳhūbī hai sab tujh meñ pa ik ulfat nahīñ 
aur sab kuchh hai pa jo ham chāhte haiñ so nahīñ 
ghar ujālā tum kuuñ karnā ho agar ehsān kā 
to diyā jo kuchh ke ho phir naam us kā lo nahīñ 
baat jo ham chāhte haiñ so to hai tum meñ sajan 
be-dahan kahte haiñ tū kyā Dar ki tum ko go nahīñ 
'ābrū' hai us kuuñ kyūñ-kar is tarah kā jāniye 
tum to kahte ho par aisā kaam us siiñ ho nahīñ 

8888888888888

 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 101