donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shah Mubarak Abroo
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* insān hai to kibr siiñ kahtā hai kyuuñ anā *

insān hai to kibr siiñ kahtā hai kyuuñ anā 
aadam to ham sunā hai ki vo ḳhaak se banā 
kaisā milā hai ham siiñ ki ab lag hai anmanā 
sun kar hamārī baat kuuñ kartā hai haañ na nā 
mukhḌe kī nau-bahār huī ḳhat se āshkār 
sabza na thā ye husn kā banjar thā par ghanā 
murdā hai be-visāl rahe go ki jāgtā 
sotā huuñ yaar saath so zindoñ meñ jāgnā 
duunī bimārī jab siiñ batāte haiñ fāhisha 
mal mal ke jis qadar ki ghinānte haiñ ubTanā 
yuuñ dil hamārā ishq kī ātish meñ ḳhush huā 
bhun kar tamām aag meñ khiltā hai juuñ chanā 
nahiñ āb-o-gil sifat tire tan ke ḳhamīr kī 
kartā huuñ jaan o dil kuuñ lagā us kī maiñ sanā 
jab 'ābrū' kā byaah huā bakr fikr siiñ 
tab shā.eroñ ne naam rakhā us kā but banā 

888888888888888

 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 105