aaya hai sub.h niind suun uth rasmasa hua
jaama gale mei,n raat ke phoolo.n basa hua
kam mat gino ye bakht-siyaho.n ka rang-e-zard
sona vahi jo hove kasauti kasa hua
andaz siin ziyada nipat naaz khush nahi.n
jo khaal had se ziyada badha so masa hua
qamat ka sab jagat munin baala hua hai naam
qad is qadar buland tumhara rasa hua
zahid ke qadd-e-kham kuu.n musavvir ne jab likha
tab click haath biich jo tha so asa hua
dil yuu.n Dare hai zulf ka maara vo phoo.nk sii.n
rassa siin azhdahe ka Dare juu.n Dasa hua
ai 'abroo' aval se.n samajh pech ishq ka
phir zulf sii.n nikal na sake dil pha.nsa hua
۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸