donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shah Mubarak Abroo
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* rakhe koī is tarah ke lālchī ko kab talak bahlā *

rakhe koī is tarah ke lālchī ko kab talak bahlā 
chalī jaatī hai farmā.ish kabhī ye lā kabhī vo lā 
mujhe in kohna aflākoñ meñ rahnā ḳhush nahīñ aatā 
banāyā apne dil kā ham niiñ aur hī ek nau-mahlā 
rahī hai sar navā sanmukh ga.ī hai bhuul mansūba 
tirī añkhiyoñ niiñ shāyad maat kī hai nargis-e-shahlā 
kiyā thā ġhair niiñ ham-rañg ho kar vasl kā saudā 
tumhārā dekh mukh kā āftāb us kā to dil dahlā 
kaf-e-pā yaar kā hai phuul kī pañkhuḌī se nāzuk-tar 
mirā dil narm-tar hai us ke hote us se mat sahlā 
javāboñ meñ ġhazal ke 'ābrū' kyuuñ kahl kartā hai 
tū ik adnā tavajjoh biich kah letā hai mat kahlā 

8888888888888

 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 117