donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shah Mubarak Abroo
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* yaar rūThā hai ham señ mantā nahiñ *

yaar rūThā hai ham señ mantā nahiñ 
dil kī garmī siiñ kuchh o pahntā nahiñ 
tujh ko gahnā pahnā ke maiñ dekhūñ 
haif hai ye banāv bantā nahiñ 
jin neñ us nau-javān ko bartā 
vo kisī aur ko barattā nahiñ 
koft chehre pe shab kī zāhir hai 
kyūñ-ke kahiye ki kuchh vachantā nahiñ 
shauq nahiñ mujh kuuñ kuchh mashīḳhat kā 
jaal makḌī kī tarah tantā nahiñ 
tere tan kā ḳhamīr aur hī hai 
aab o gil is safā siiñ santā nahiñ 
jiyo duniyā bhī kaam hai lekin 
'ābrū' bin koī karantā nahiñ 

8888888888

 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 106