badhe hai din-ba-din tujh mukh ki taab aahista aahista
ki juu.n kar garm ho hai aftab aahista aahista
kiya khat ne tire mukh kuui kharab aahista aahista
gahan juu.n maah kuu.n leta hai daab aahista aahista
laga hai aap siia ai jaa.n tire ashiq ka dil rah rah
kare hai mast kuu.n be-ḳhud sharaab aahista aahista
dil ashiq ka kala ki tarah khilta jaa.e khush ho ho
ada siiri jab kabhi khole naqaab aahista aahista
laga hai 'abru' mujh kuu.n 'vali' ka khuub ye misra
savaal aahista aahista javaab aahista aahista
****************