donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shakeb Jalali
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Aa ke pather tu merey sehn main do chaar girey *
Aa ke pather tu merey sehn main do chaar girey,
Jitney is pair ke phal they pas_e dewaar girey,

aisi dehshat thi fizaaoo.n main khuley paani ki,
Aankh jhapki bhi nahi, haath sey patwaar girey,

mujhey girna hay tu main apney hi qadmoo.n main giroo.n,
jis tarha saya_e dewaar pe dewaar girey,

teergi chor gai dill main ujaley ke khatoot,
ye sitarey merey ghar toot ke bekaar girey,

kiya hawa haath main talwaar leye phirti hay,
kiyu mujhe dhaal bananey ye chat-naar girey,

dekh kar apney dar_o baam laraz jaata hoon,
merey humsaay main jab bhi koi dewaar girey,

waqt ki door Khuda janey kahan sey tootey,
kis ghari sar pe ye latakti hoi talwaar girey,

Hum sey takra gaii khud barh ke undhery ki chataan,
hum sanbhal kar jo bohat chaltey they, na-chaar girey,

kiya kahoo.n deda_e tar ye tu mera chehra hay,
sang kat jatey hain, barish ki jaha.n dhaar girey,

haath aaya nahi kuch raat ki daldal ke siwa,
hai kis morr pe khwaboo.n ke paras-taar girey,

wo tajalli ki shoa'e.n theen ke jaltey howe teer,
Aainey toot gai, aaina bardaar girey,

dekhtey kyu ho Shakeb itni bulandi ki taraf,
na uthaya karo sar ko ke ye dastaar girey .
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 383