donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shakeb Jalali
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Sahil tamam ashk_e nadamat sey att gaya *
Sahil tamam ashk_e nadamat sey att gaya,
dariya sey koi shakhs tu piyasa palat gaya,

lagta hay be-karaa.n mujhe sehra main aasmaa.n,
pohancha jo bastiyoo.n main tu khanoo.n main batt gaya,

ya itna sakht jaan k talwaar be-asar,
ya itna narm k rag_e gull sey katt gaya,

bahoo.n main aa saka na haweeli ka ik satoon,
putli main aankh ki, sehra simat gaya,

ab koun jay ko_e malamat ko chorr kar,
qadmoo.n sey aa gey apna hi saya lipat gaya,

gunbad ka kiya qasoor isey kiyu kahoo.n bura,
aaya jidher sey teer, udher hi palat gaya,

rakhta hay khud sey koun hareefana kashmakash,
main tha k raat apney muqabil main datt gaya,

jis ki amaa.n main hoon wohi ukta gaya na ho,
bondain ye kiyu barasti hain, badal tu chatt gaya,

wo lamha_e shaoor jisey jaa.n kani kahain,
chehrey sey zindagi ki naqabain ulat gaya,

thokar sey mera paoo.n tu zakhmi howa zoror,
rastey main jo khara tha wo kohsaar hatt gaya,

ik hashr sa bapa tha merey dill main ay 'Shakeb',
kholee.n ko khirkiyaa.n tu zara shor ghatt gaya .
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 396