|
* Utarii.n ajiib roshaniyaa.N raat Khvaab me.n *
Utarii.n ajiib roshaniyaa.N raat Khvaab me.n,
kyaa kyaa na aks tair rahe the saraab me.n,
[ tairanaa = to float; saraab = mirage]
kab se hai.n ek harf pe nazare.n jamii.n hu_ii.n,
vo pa.Dh rahaa huu.N jo nahii.n likkhaa kitaab me.n,
phir tiragii ke Khvaab se chau.Nkaa hai raastaa,
phir raushanii-sii dau.D ga_ii hai sahaab me.n,
[tiiragii = darkness; sahaab = cloud]
paanii nahii.n ki apane hii chehare ko dekh luu.N,
manzar zamii.n ke Dhuu.NDhataa huu.N maahataab me.n,
[manzar = scene; maahataab = Moon]
kab tak rahegaa ruuh pe pairaahan-e-badan,
kab tak havaa asiir rahegii hubaab me.n,
[ pairaahaan-e-badan = dresslike body]
[asiir = imprisoned; hubaab = bubble]
jiine ke saath maut kaa Dar hai lagaa huaa,
Khushkii dikhaa_ii dii hai samandar ko Khvaab me.n,
ek yaad hai ki chhiin rahii hai labo.n se jaam,
ek aks hai ki kaa.Np rahaa hai sharaab me.n.
|
|