donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Shakeb Jalali
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Jaatii hai dhuup ujale paro.n ko sameT ke *
Jaatii hai dhuup ujale paro.n ko sameT ke,
zaKhmo.n ko ab ginuu.Ngaa mai.n bistar pe leT ke,


mai.n haath kii lakiire.n miTaane pe huu.N ba-zid,
go jaanataa huu.N naqsh nahii.n ye sleT ke

[ba-zid = determined]

duniyaa ko kuchh Khabar nahii.n kyaa haadasaa huaa,
phe.Nkaa thaa us ne sang gulo.n me.n lapeT ke,


phavvaare kii tarah na ugal de har ek baat,
kam kam vo bolate hai.n jo gahare hai.n peT ke,


ik naqara_ii khanak ke sivaa kyaa milaa 'Shakeb',
Tuka.De ye mujh se kahate hai.n TuuTii pleT ke.

[naqaraa_ii = silver like; khanak =sound]
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 308