donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Sofia Anjum Taj
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* WOH TAAQ WOH CHHAT WOH MAHRABE'N WOH GHAR WOH IMARAT MAANGE HAI *

WOH TAAQ WOH CHHAT WOH MAHRABE'N WOH GHAR WOH IMARAT MAANGE HAI,
ANGNAYI ME'N BELE,JUHI KI KHUSHBU KI TARAWAT MANGE HAI,
WOH THANDI HAWA WOH PAGDANDI,SABZE KI LAHAK WOH HARYALI,
AUR SHAAM KI HALKI KHUNKI ME'N,JUGNU KI HARARAT MANGE HAI,
IS RANG BIRANGE MAUSAM ME'N KUCHH AUR NAHI MAANGE HAI YEH DIL,
HAA'N UNKI CHASHME INAYET KI,THORHI SI REYAYET MANGE HAI,
HAR AIK NAZAR ME'N HAR DIL ME'N,AAZADI KI PARIYA'N RAQSAA'N HAI'N,
TITLI JO HAI MERI CHUTKI ME'N URHNE KI IJAZAT MANGE HAI,
IS SHAHAR ME'N KYA KYA JUG MUG HAI,LEKIN YEH DIL SAADA MERA,
KALIYO'N KI KAHANI MANGE HAI,PHOOLO'N KI HEKAYET MANGE HAI',
HO NEEM KA AIK CHHATNAR DARAKHT,AUR SAYE ME'N USKE SABZE HO'N,
AUR SABZE KI NARMI PER YEH DIL,SONE KI IJAZAT MANGE HAI,
JIN LAFZO'N KO MAI'N NE BACHPAN ME'N GAHNE KI TARAH PEHNA "ANJUM",
HAR LAFZ MERE US GAHNE KA,US DAUR KI QEEMAT MANGE HAI.

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 437