donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Syed Anwar Javed Hashmi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Aankh se apne samunder baandhiye *
Aankh se apne samunder baandhiye,
Lahar se Taa chand kanker baandhiye,
Zulf shaano’n par khule yaa aankh per,
Jis qadar mumkin ho behtar baandhiye,
Dil ki darhkan par bhi rakh lijiye nazar,
Jab tasawwur me’n who manzar baandhiye,
Chashm yeh kis roz Tar hoti nahi,
Nam se kam kiyo’n misrae tar baandhiye,
Tang daamani na kam asbaab ko,
Bakht ko hai jo mayyessar baandhiye,
Sab nigah bani dhari rah jaayegi,
Laakh apne layo lashkar baandhiye.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 352