donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Syed Anwar Javed Hashmi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* MUBTALAYE GHAM RAKHE DE MALAALE KHAMOSHI *
MUBTALAYE GHAM RAKHE DE MALAALE KHAMOSHI,
JAANE KAB SE ORHE HAI DUKH KI SHAAL KHAAMOSHI,
CHUP KE GHUP ANDHERE MEI'N US GALI KE PHERE MEI'N,
ROZ KARTI RAHTI HAI KYO'N NIDHAAL KHAMOSHI,
YAA'N SOKHAN SHENAASO'N SE SHIKWA VA GILA KAISA,
NA SAHAASI  FUN KA INDMAAL  KHAMOSHI,
AAYINA SADA DE JAB RUKH UDHAR KARE'N SAHAB,
IKHTEYAR JAB KI HO HASB HAAL KHAMOSHI,
MAAT HO NA JAYE DIL BAR BESAATE AAB O GUL,
PHIR KAHI NA CHAL JAAYE KOI CHAAL KHAMOSHI,
HAM NE BHI SARE SAAHIL NAGHMA KHWAANIYA'N KI'N DIL,
MAUJ MAUJ NE KI HAI PAAYEMAL KHAMOSHI,
KYA KARE TAQAAZE DIL, HO'N JO BARSARE MAHFIL,
DIL NAWAAZ AAWAZE'N, BA KAMAAL KHAMOSHI,
TUMNE AAM LOGO'N PER KYO'N GHAZAL NAHI LIKHI,
HAI JAWAB,GAR KARDE,YEH SAWAAL KHAMOSHI,
MAYELE TABASSUM LAB,SHAAMIL TAKALLUM SAB,
IK MISAAL HUNGAMA, BE MISAAL KHAMOSHI.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 290