|
* Ik mubtalaye shauq to har taur hai kushta tera *
Ik mubtalaye shauq to har taur hai kushta tera,
Yeh bhi sitam woh bhi sitam parda tera jalwa tera,
Ae be neyaze ishq iifa ho na ho wada tera,
Tujh ko khabar bhi hai koi takta raha rasta tera,
Ik rahi,shahre fasu'n,ik hasil soze daru'n,
Yaktae andaze junu'n to aur diwana tera,
Ab nigaho'n mei'n koi aata nahi bhaata nahi,
Jab se nazar tujh se mili nazro'n mei'n hai chehra tera,
Uski yehi hai zindagi wabistagi daraftagi,
Paband rasme bandagi karta bhi kya shikwa tera,
Yeh ahde zulm o jur hai, hairat nahi is daur mei'n,
Thahre saza ka mustahaq gar jurme na karda tera,
"Arif" tujhe khud shakal bhi teri nazar aati nahi,
mohtaje seeqal gar hawa kab ka yeh aayina tera. |
|