donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Syed Waheedul Qadri Arif
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* BEDAAR GAR NA HONGE AZAANE SEHAR SE HAM *
BEDAAR GAR NA HONGE AZAANE SEHAR SE HAM,
GIR JAAYENGE KHUD APNI HI APNI NAZAR SE HAM,
APNAAYIET FAZAAYO'N MEI'N LAYE'N JIDHAR SE HAM,
YEH POOCHHTE HI RAH GAYE DIWAAR O DAR SE HAM,
RAHBER QAREEB HAM SE RAHA RAAHBER SE HAM,
MANZIL HAMARE SAATH THI GUZRE JIDHAR SE HAM,
NAZRO'N MEI'N AB HAMARI KOI KYA SAMA SAKE,
NAZRE MILA CHUKE KISI AHLE NAZAR SE HAM,
HAM KO SHAYOORE RAAHE WAFA UN SE MIL GAYA,
WAABISTA AAJ BHI HAI'N USI RAHGUZAR SE HAM,
HAQ GOI ZINDAGI KA HAMARI SHA'AAR HAI,
KHAAMOSH KIYO'N RAHENGE ZAMAANE KE DAR SE HAM,
HAM UN SE BA KHABAR RAHE WOH HAM SE BA KHABAR,
KUCHH BE KHABAR SE WOH RAHE KUCHH BE KHABAR SE HAM.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 336