|
* Jo kehne par tumhare de de jaan, aisa pyar kahan se laoge *
Jo kehne par tumhare de de jaan, aisa pyar kahan se laoge
Jo tumhe dil se apna mane ga, aisa pyar kahan se laoge
Khushion mein sang muskurane wala, milna koi mushkil nahi
Jo gham mein sath bahaye ansoo, aisa pyar kahan se laoge
Dunya to matlab-parast hei,bina matlab na pooche gi tumhe
Jo matlab bina tumhe chahe ga, aisa pyar kahan se laoge
Ye to baat qismat ki hei, ke tumko itna pyar tha mila
De bewafai ke badle wafa tumhe, aisa pyar kahan se laoge
Ab kyun karte ho shikayat tum, kya dekh liya rang zamane ka?
Meine kar liya band dil ko apne,choda rasta nahi tumhare aane ka
|
|