|
* Hum apna ishq to sab se chhipana chahte the *
Hum apna ishq to sab se chhipana chahte the,
mager chirag hawa ko jalana chahtein hain,
hamein bhi shauq tha deewar-o-dar khurachne ka,
tumhara dil bhi kabhi hum bhi dukhana chahtein hain,
jo khoob ghomte sab ki nazar main kya aate,
magar who sath khan aana jaana chahtein hain,
yeh laghzishein bhi tere wasl ki tamanna hain,
hum eik lamhe ko apna bnana chahtein hain. |
|