* Musarrato'n kii hawas mein shadeed ho naa saka *
Musarrato'n kii hawas mein shadeed ho naa saka
gham apna hasbe tawaqqa mufeed ho naa saka
nahii ke mai'n ne naa kii madhe rahbara'n lekin
yeh kaam woh thaa ke mujhse mazeed ho naa saka
woh haadsa jise chaaha ke bhool jaaoo'n mai'n
mere Gumaano yaqee'n se bayeed ho naa saka
ik azdahaam thaa bazaar e shayri mei'n magar
sukan '' Zaheer'' ka jinse khariid ho naa saka
|