donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Siraj Dehlvi
 
Share this Design Poetry to Aalmi Urdu Ghar
SIRAJ DEHLVI : Hasile Dard Bhi Tha Hamile Taseer Bhi Tha
        
Siraj_Dehlvi_46311424243199.jpg
Bazme Ash Aar Ki Tarah pe Ghazal....

Hasile Dard Bhi Tha Hamile Taseer Bhi Tha., 
Us Ne Qissa Jo Sunaya Tha Wo Dil Geer Bhi Tha,,
Qadr Is Shehr Ne Us Ki Nahin Jani Lekin., 
Us Ki Izzat Bhi Thi wo Hamile Tauqeer Bhi Tha,,
Us Ne Apna Liya Takhreeb Ka Rasta Kaise., 
Us Ke Seene Mein Agar Jazba-e- Tameer Bhi Tha,,
Us ki Deewangi pe Kyun Na Bharosa Hota., 
Bediyan Hath Mein Thin Hamile Zanjeer Bhi Tha,,
Us Ko Manzil Ka Pata Milta To Kaise Milta., 
Past Himmat Bhi Tha wo Shakiye Taqdeer Bhi Tha,,
Dil ko Leke Chale Aaye Musallam Afsos., 
Aakhir Us Shokh Ke Tarkash Mein Koi Teer Bhi Tha,,
Kaise Us Shokh Ko Main Dil Se Nikaloo'n Aey Siraj., 
Wo Mera Khwab Bhi Tha Khwab Ki Tabeer Bhi Tha...! 

Siraj Dehlvi @O.P.Agarwal 17.02.2015
 
Comments


Login

  • Jawaid Mahmood
    08-03-2015 03:24:22
    BAHUT KHOOB SIRAJ DEHLVI SAHEB
You are Visitor Number : 678